salgirah-shaadi-shayari / Hindi SMS n Shayari

Advertisement

Tumhari Salgirah Hai Birthday Sms Shayari

Posted by 12 December, 2013 (0) Comment

Tumhari Salgirah Hai Birthday Sms Shayari

Motiyan, Bela, Phool, Kaliyan,
Dekho Yaron Sab To Hain Na,
Aaj Tumhari Salgirah Hai,
Dekho Hum Ko Yaad To Hai Na!
Happy Birth Day Brother!

Categories : Birthday Shayari Tags : , , , , ,

Wasi Shayari Sms Shayari for Friends

Posted by 23 June, 2013 (0) Comment

Usay Yaqeen Ho Jaye Kuch Iss Ada Se Sunana Hall-E-Dil Hamara
Wasi
Woh Khud Hi Keh De Kisi Ko Tarpana Buri Baat Hai!!!!

Categories : Wasi Shah Shayari Tags : , , , ,

Hosh Waalon Ko Khabar Kya Ghazal Shayari

Posted by 10 February, 2014 (0) Comment

Hosh Waalon Ko Khabar Kya Ghazal Shayari

Hosh Waalon Ko Kya Khabar Bekhudi Kya Cheez Hai
Ishq Kijiye Phir Samajhiye,Zindagi Kyaa Cheez Hai

Hosh Waalon Ko Khabar Kya,Bekhudi Kya Cheez Hai
Ishq Kijiye Fir Samajhiye,Zindagi Kya Cheez Hai

Unse Nazarein Kya Mili,Roshan Fizayein Ho Gayin
Aaj Jaana Pyaar Ki,Jadoogari Kya Cheez Hai

Khulti Zulfon Ne Sikhayi,Mausamon Ko Shayari
Jhukti Aankhon Ne Bataya,Mehkashi Kya Cheez Hai

Hum Labon Se Keh Na Paaye,Unse Haal-E-Dil Kabhi
Aur Woh Samjhe Nahi Yeh,Khamoshi Kya Cheez Hai

Categories : Ishq Shayari Tags :

Meri Sadgi Dekh Kya Iqbal Shayari

Posted by 3 December, 2013 (0) Comment

Meri Sadgi Dekh Kya Iqbal Shayari

Tere Ishq Ki Intaha Chahta Hun
Meri Sadgi Dekh Kya Chahta Hun

Sitam Ho K Ho Wada-e-Behijabi
Koi Bat Sabr-Azma Chahta Hun

Ye Jannat Mubarak Rahe Zahidon Ko
K Main Ap Ka Samna Chahta Hun

Koi Dam Ka Mehman Hun Ai Ahl-e-Mahfil
Chirag-e-Sahar Hun, Bujha Chahta Hun

Bhari Bazm Mein Raz Ki Bat Kah Di
Bara Be-Adab Hun, Saza Chahta Hun

Allama Iqbal

Meri Sadgi Dekh Kya Iqbal Shayari

 

Categories : Allama Iqbal Shayari Tags : , , , , , , , ,

Ek Teri Yaad Ishq Shayari

Posted by 10 February, 2014 (0) Comment

Ek Teri Yaad Ishq Shayari
Daastaan-E-Gham-E-Dil Unko Sunaii Na Gayi
Baat Bigdii Kuchh Aisii Ki Banaii Na Gayi
Sab Ko Ham Bhool Gaye Josh-E-Junoon Mein Lekin
Ek Teri Yaad Thi Aisi Ki Bhulaai Na Gayi
Ishq Par Kuchh Na Chalaa Dida-E-Tar Ka Jaadoo
Usne Jo Aag Lagaa Di Woh Bujhaai Na Gayi

Ek Teri Yaad Ishq Shayari

Categories : Ishq Shayari Tags :